Bewafai
Shayari-Bhangu.Xtgem.CoM
PAGE=7
Har Dali Par
By : Gagan(Views : 441)
Har Dali Par Phool Khilein Shaayad Mumkin Na ho,
Har Manzil par Saath
chalein Shaayad mumkin na ho,
Aaj to bhula do sabhi Gile-Shikve,
Kal
mile na mile Shaayad mumkin na ho,
Aaj Bhi Unki Nazro Mein Raaz Wahi Tha,
Chehra Wahi Tha Chehre ka Libaas Wahi Tha,
Kaise Usko Bewafa Keh Du
Yarro,
Aaj Bhi Uske Dekhne Ka Andaaz Wahi Tha,
Lamha Lamha saanse khatam
ho rahi hai,
zindagi bhi maut ke pehlu mein so rahi hai,
us Bewafa se na
poocho meri maut ki wajah,
woh toh bus zamaane ko dikhane ke liye ro rahi hai
!
TOD KAR AHDE-VAFAA JAATA HAI KYA
By : Gagan(Views :
315)
TOD KAR AHDE-VAFAA JAATA HAI KYA
KOI YEH SADMA UTHAA PAATA HAI KYA
PYAR KAR AHLE-VAFAA SE PYAR KAR
YEH BATAA IS MEIN TERA JAATA HAI KYA
ZINDGAANI KO DILON PAR NAQSH KAR
PATHTHRON PAR NAAM LIKHVAATA HAI KYA
ZIKRE-ULFAT PAR VO KEHTE HAIN
AAP KO IS KE SIVA AATA HAI KYA
JISE VO DILRUBA ACHHA LAGE GA
By : Gagan(Views :
296)
JISE VO DILRUBA ACHHA LAGEGA
USE PHIR AUR KYA ACHHA LAGEGA
KARE GA BEVAFAAYI HAR QADAM PAR
MAGAR VO BEVAFAA ACHHA LAGEGA
MILAN DIL SE NA HOGA JIS JAGEH PAR
JUDA HONA BADA ACHHA LAGEGA
NA YAAD AYEGA KUCHH AISHO-TARAB MEIN
MUSEEBAT MEIN KHUDA ACHHA LAGEGA
RAHO GE JAB KABHI PARDES JAA KAR
VATAN APNA BAHUT ACHHA LAGEGA
ACHHA HI SOCHO GE AGAR TUM
TO HAR ACHHA BURA ACHHA LAGEGA
Un Ankhon Me Nind Kaha
By : Gagan(Views : 324)
Un ankhon me nind kaha
jin ankhon se pritam door base
Woh kya dekhe
mast sama
jin ankhon se pritam door base
Laakh bahare jhoom ke aaye
Daali daali phul khile
Mere man ki kali
khile jab
Mujhse pritam aan mile
Woh kya dekhe mast sam jinankhon se
pritam door base
Chain kaha se paaye woh dil
Jiska basiya paas na ho
Haar shingaar bhi
zahar lage use
Jiska rasiya paas na ho
Bahte aansoo unki zuban jin
ankhon se pritam door base
DIL MEIN EK DARD BDASTOOR GWAARA KARNA
By : Gagan(Views
: 244)
DIL MEIN EK DARD BDASTOOR GWAARA KARNA
ITNA AASAN NAHIN YAADON PE GUZAARA
KARNA
JAAN DENI HAI, TeRE ISHQ MEIN HAI YAAD MUJHE
BHOOL HI JAAOON AGAR
MAIN TO ISHAARA KARNA
PHOOL DE AANA SABAA UNKO CHAMAN KE SAARE
UNKE GHAR JAAYO TO YE KAAM
HAMAARA KARNA
KAISE KAR LENGE KAHEEN AUR BATAA PYAR HAI YE
SHAGHL HOTA TO YE MUMKIN THA
DUBAARA KARNA
VUSSATEIN AUR NA RAATON KE ANDHERON KI BADHEIN
TUM SARE-SHAAM NA ZULFON
KO SNWAARA KARNA YAAS AUR KAIF KI HAM ITNI HAQEEQAT SAMJHE
EK TUMHEIN
BHOOLNA EK DHYAN TUMHAARA KARNA
AQL TO SOCHTI HAI TARKE-VAFAA KI BAATEN
DIL YE KAHTA HAI RISHI YE NA
KHUDAARA KARNA....
Kyun Baat Hamari Nahi Mantay
By : Gagan(Views : 240)
Kyun Baat Hamari nahi mantay
Kyun Dil Hamara Dukhatay Ho
Ye Komal
Komal Jazbay Mere
Kyun In ko Sulatay Ho
Ankhon main rehti hai nami mere
Kyun is se ankhain churatay ho
Kya rakha hai baton main meri
Kyun in
pe dil lutatay ho
Maan jao na baat hamari
Kyun hum pe situm dhatay ho
Jo dil main hai tumharay
Woh he dil main hai hamaray
Kyun in jazbon
ko kurlatay ho
Ye komal komal jazbay mere
Kyun in ko Sultay ho
Tum Mujhse Hokar Juda Kahaan Jaoge
By : Gagan(Views :
265)
Tum mujhse hokar juda kahaan jaoge
Saath na denge raaste to lautkar yahin
aaoge
Kyun kar hona chahte ho tum door yun mujhse
Kya hai meri khatayein
yeh tum mujhe bataoge
Dil ne sirf tumko chaha to uski saza kyun
Tum bhi
kya mujhse yun kabhi juda reh paoge
Aks aaine mein dekhte ho to main hi
aayun nazar
Fir kis haal mein apne aap ko tum khush paoge
Gir Jaoge Nazron Se Ho Jaoge Gumnaam
By : Gagan(Views :
467)
Dil shokh hasinaaon se lagana nahi achcha,
Ho jaoge badnaam zamaana nahi
achcha
Gir jaoge nazron se ho jaoge gumnaam
har shakhs ki nigaahon me samana
nahi achcha.
mera har zakhm dega teri bewafai ka saboot
abhi dard kehta hai ki, unko
dikhana nahi achcha.
yehi ek to reh gai hai mere pyar ki nishaani
Dil shokh hasinaaon se
lagana nahi achcha.
Tere Bin Ab Jeena Kya
By : Gagan(Views : 350)
tere bin ab jeena kya,
manzil kaisi safeena kya,
guzri zindagi barsaat mein
ab nahi janti meena kya,
rooh tak zakhmi hue hum,
teer ke liye dil ya seena kya,
adat thi pathar tarashne ki,
milega ab koi nagina kya,
lamha lamha guzra intzaar ka ,
milega ab woh sukoon-e-rooh kya,
taqdeer ke khel bhi nirale,
chheena bhi tou chheena kya,
pi chuka asmaan talkhiyon ko,
ab bhi baki zeher pina kya.
Dard Tera Sabase Bara Lagta Hai Tujhe
By : Gagan(Views :
336)
Dard tera sabase bada lagta hai tujhe e mere hamdum,
bekhabar hu ki
kitani kabrein dafan hain ek seene mein,
kasamein, waade, pyaar, wafa, mujhe
sabne qatl kiya,
meri rooh ka ghar nahin, phir kya rakha hai jeene mein,
Kasoor
By : Gagan (Views : 3462)
Pyar kiya tum ne
Yakeen kiya hum ne
kasoor hamara
wada kiya maine
saath chora tumne
Kasoor hamara
dil diya maine
Dil tora tumne
Kasoor hamara
Jee rahe ho tum
Margaye hai hum
Kasoor hamara
aansoo baha rahe ho tum
aansoo baha rahe hain hum
Kasoor
Diwana
By : Gagan(Views : 672)
pyar karthe the usse dilo jaan se,
mohabbat kaa ikrar kar baithe us bewafa
se,
nazrein niche kar is mohabbat se inkar kardiya
inkar me uski koi gila
nahi,
bas usne is dil ko chakna-chur kar diya.
mohabbat karne wala keh
chala us bewafa se,
diwana kabhi tumse nazrein na milayega,
yaad na kabhi
karna is diwane ko,
ye kabhi na lautkar ayega,
ye kabhi na lautkar
ayega.
Kunware Hum Bhi Nahin !
By : Gagan (Views :
495)
Bewafa Tum Ho To Wafadaar Hum Bhi Nahi,
Besharam Tum Ho To Sharamdaar Hum
Bhi Nahi,
Pyaar Ke Is Mode Par Aake Kehte Ho Shadishuda Ho
To Kya Hua
Darling...Kunware Hum Bhi Nahin!
Milegi
By : Gagan (Views : 560)
Dil todke tumko bhi rahat na milegi,
Mujh jaisi kisi aur ko milne ki
chahat na milegi,
Barbaad hoke bhi tera bura na chaha,
Dil chir ke
dekhlo kabhi nafrat na milegi.
MUDDAT KE BAAD
By : Gagan (Views : 896)
Muddat ke baad khwaab mein aaye vo, kal kii raat
Par sang mein kis gair
ko, laaye vo, kar kii raat
Kis tarah be-akal dil ko samjhaoon, main kya karoon,
Jahaan se miTte hii
nahin, us khwaab ke haalaat
Rusvaaii kii ummeed to, unse nahin hargiz
To phir, behakne hai lage kyon,
khamkhvah jazbaat
Ye khwaab bas ik khwaab ho to tHeek hai, varna
Kabron mein paDh lena
sanam, mayyat ke fasaanaat
PAL BHAR ME
By : Gagan (Views : 673)
PAL BHAR ME TOOT JAYE WO KASAM NAHI,
DOSTI KO BHULNAY WALE HUM
NAHI,
TUM BEWAFA BANO ISS BAAT ME DUM NAHI,
KYUN KE HUMARI WAFAA BHI KUCH
KAM NAHI.
UNAKI MOHABBT KA ABHI NISHAN BAKI HAI
By : Gagan(Views :
569)
UNAKI MOHABBT KA ABHI NISHAN BAAKI HAIN.NAAM HOTO PE JAAN BAKI HAIN.KYA HUA AGAR DEKH KE NAJAR PHER LETE HAIN.TASSALI HAIN KI ABHI SHAKAL KI PEHCHN BAKI HAIN.
Barso Lage
By : Gagan (Views : 671)
Hum to yaad tumhe aate na honge,
tumhe to yaad koi aur aane lage,
tumne
hume bhulaya pal mein,
hume tumhe bhulane mein barso lage.
Ye Kya Ho Gaya....
By : GAGAN(Views : 541)
har pal sochta hoon ye kya ho gaya hain...
zindagi ke is mod pe ye pyaar
kya de gaya hain....
jo chalta rahta hain hardum hi sath mere...
andhere
mein mera saya bhi bewafaa ho gaya...
Chman Se Kaun Chla Hai Khamosiyan Lekar
By : Gagan(Views
: 435)
Chman se kaun chla hai khamosiyan lekar
Kali kali ro rahi hai siskiyan
lekar
Jo rat din mare marne ki mangte the dua
Wo ro rahe the janaje par
Hichkiyan lekar
Bhula saki na wo jakam jo diya tune mujhe
To ji gaye jindgi bewafaiyan
sahakar
Saja mili un gunaho ki jo kiye na kabhi
Na do aur saja mujhko un ro ro kar
Vida ki bela mai aaye tum sakun mila
jabab do Kyu gaye tum tanhaiyan
dekar
Jinda thi tab to na aaye tum
To so gaye hain tumhari nishaniyan lekar
Sab sahe gayi par dua thi ki teri khushiyon ki
Tere Naam Se Saans Chalti Hai.....
By : Gagan(Views :
484)
tere naam se saans chalti hai,
yaadon me shaam dhalti hai,
kabhi wafaon
ki doli utthi,
kabhi armanon ki artthhi sajti hai..
katl karna tha to khanjar se kiya hota,
jaan nikalti ek hi
bar,
til-til marta dekh hanske kahate hai log,
lash bhi marti hai....
are bedardi!! chala to gaya magar khata kya hui ye batata,
kami thi meri
wafa me? ye saval kar kar ke ruh pighalti hai.. Gagan
Na Aana Samne, Tujhe Dekhne Se Nazar Bhi Sharm Karti Hai?
By
: Gagan(Views : 378)
mohabbat ki hawa chalati hai, har patte ko hawaa lagti hai,
inkar kare wo
chaahe kitna, seene main aag to sulagti hai...
tere naam se saans chalti hai,yaadon me shaam dhalti hai,
kabhi wafaon ki
doli utthi, kabhi armanon ki artthhi sajti hai..
saaki hum tere dar pe ate hai, pine nahi use bhulne ate hai,
aur tu deke
du'haai usi be'wffa yaar ki, har jaam bharti hai...
katl karna tha to khanjar se kiya hota, jaan nikalti ek hi bar,
til-til
marta dekh hanske kahate hai log, lash bhi marti hai....
are bedardi!! chala to gaya magar khata kya hui ye batata,
kami thi meri
wafa me? ye saval kar kar ke ruh pighalti hai..
sarmaya de gaya dukhon ka, khushiyan uu?dhaar le gaya,
na aana samne,
tujhe dekhne se nazar bhi sharm karti hai?
tabaahii kaa aalam dekh dekh tuu muskuaata raha wahan,
sab jal gayaa
?pooja?,rakh karke ab sirf dhunva utthti hai.... Gagansoni bhopal
Gair To Hai Gair Haath Saaf Kerke Wo To Chaley Jatey Hai;
By
: Gagan(Views : 355)
Gairon ko na samjo apna;
Dushman apno ka hume bana detey hai,
Katwa kar
seer apney haathon se apno ka;
Guhegaar apno ka hume bana detey hai
Ehsaan jo kiye ho aapney;
Bhool ker usey hewaan wo banjatey hai,
Jis
ghar mai apno ki tarha wo rehtey hai;
Unhi apno ko wo nigal jatey haiGair to
hai gair haath saaf kerke wo to chaley jatey hai;
Wo to hai apne jo berozgari
mai kaam atey hai.
Tabbhi to kehti hai GaganSONI ki:
Gairon ko na samjo apna;
Dushman
apno ka hme bana detey hai,
Katwa kar seer apney haathon se apno
ka;
Guhegaar apno ka hume bana detey hai....Gagansoni
Naam Nahi Badalta Houn Main Kisi Ke Liyen
By : Gagan(Views : 353)
naam nahi badalta houn main kisi ke liyen
naam tou mila hay mujhe roshni
ke liyen,
woh rakhtey hay mujhe badalne ka khayal
kyoun badloun main kisi ajnabi ke
liyen,
jab koi nahi chahta rakhna mujhse rabta
kyoun jalaoun main apna dil kisi
ke liyen,
unko bhi jab hamari perwah nahi koi
tou ashq kyoun main zaya karoun kisi
ke liye,
jaon kyoun kisi diye ki talash men
jugno mile tou hai mujhe roshni ke
liye,
jo rang le gaye hamari zindagi se
wo tou ab rakh diye unhone kisi ke
liyen,
apni nakamiyoun se le raha houn main sabak
tajurba bad raha hai zindagi ke
liyen........Gagan
KhwahisheN KahaaN Kisi Ki Puri Hoti HaiN.........
By :
Gagan(Views : 351)
khwahisheN kahaaN kisi ki puri hoti haiN,
sapno ki haqikat to bahot buri
hoti haiN...
JiTni bhi karlo aarzoo humdum ko paane ki...
Darmayaan uTni hi doori hoTi
hai...
bichad jate haiN sathi safar-e-jist meiN,
mil na paana to unki majboori
hoti haiN...
Milkar bhi bichad jaaTe hain, kuch aise badnaseeb bhi hoTe hain...
Judaai
ke aalam me, phir milan ki umeed har dil me hoTi hai...
mehkta haiN unka pyaar ek-duje k sahare,
muskurahat honthoN pe zaroori
hoti haiN...
Chehre pe jhooti muskurahaT zaroor sajaa ke rakhTe hain...
Na jaane kaunse
mod pe ek aur gam se mulakaaT honi hai...
soch nahi sakte ziNdagii ko sathi k bina,
bichadana to dono ki kamzoori
hoti haiN...
Wajood hi nahi hai ek doosre bina koi...
Judaai ki ghatiya chaal, wakt ne
chali hoTi hai...
fir bhi chalte rehte haiN bina kuch soche,
ek-duje k bina ziNdagii adhoori
hoti haiN...
Milan hoga jis din "ChaahaT" ka apni "ChaahaT" se...
Us din dekhna duniya
ko jalan kiTni honi hai........